Allama Iqbal poetry in Urdu is a timeless masterpiece, filled with wisdom and inspiration. His Shayari reflects themes of self-discovery, spirituality, and love for the nation. Known as the “Poet of the East,” Iqbal’s words resonate deeply with readers, encouraging them to dream big and work hard.
Whether it’s his motivational 2-line poetry or his thought-provoking ghazals, his verses hold a special place in Urdu literature.
عقل کو تنقید سے فرصت نہیں
عشق پر اعمال کی بنیاد رکھ
Aqal ko tanqeed se fursat nahi
Ishq par aamaal ki bunyaad rakh
ٹہنی پہ کسی شجر کی تنہا
بلبل تھا کوئی اداس بیٹھا
Tehni pe kisi shajar ki tanha
Bulbul tha koi udaas baitha
جنہیں ارتفاع فلک تو نے سمجھا
نہیں ہیں سوا جلتے بجھتے شرارے
Jinhein irtiqa-e-falak tu ne samjha
Nahi hain siwa jalte bujhte sharaare
مردو کو زندہ جانتا ہے آزری نظام
وہاں کے بتکدے اور خانقاہ جات
Mard ko zinda jaanta hai azari nizaam
Wahan ke butkade aur khanqah jaat
بندگی کے عوض فردوس ملے
یہ بات مجھے منظور نہیں
Bandagi ke ewaz firdous mile
Yeh baat mujhe manzoor nahi
مذہب نہیں سکھاتا آپس میں بیر رکھنا
ہندی ہیں ہم وطن ہے ہندوستاں ہمارا
Mazhab nahi sikhata aapas mein bair rakhna
Hindi hain hum, watan hai Hindustan hamara
آئین جواں مرداں حق گوئی و بیباکی
اللہ کے شیروں کو آتی نہیں روباہی
Aaeen-e-jawan mardan, haq goyi o bebaki
Allah ke sheeron ko aati nahi robahi
یہ جنت مبارک رہے زاہدوں کو
کہ میں آپ کا سامنا چاہتا ہوں
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Ke main aap ka saamna chahta hoon
ہر شے مسافر ہر چیز راہی
کیا چاند تارے کیا مرغ و ماہی
Har shai musafir, har cheez raahi
Kya chaand tare, kya murgh o mahi
جب عشق سکھاتا ہے آداب خودآگاہی
کھلتے ہیں غلاموں پر اسرار شہنشاہی
Jab ishq sikhata hai adaab-e-khud aagahi
Khalte hain ghulamoun par asrar-e-shahanshahi
سمندر سے ملے پیاسے کو شبنم
بخیلی ہے یہ رزاقی نہیں ہے
Samandar se mile pyase ko shabnam
Bakheeli hai yeh razaqi nahi hai
ایک سرمستی و حیرت ہے سراپا تاریک
ایک سرمستی و حیرت ہے تمام آگاہی
Ek sarmasti-o-hairat hai sarapa tareek
Ek sarmasti-o-hairat hai tamam agahi
Allama Iqbal Poetry in Urdu 2 Lines
Allama Iqbal’s poetry in Urdu 2 lines reflects his deep thoughts and wisdom. His short couplets are a source of inspiration for readers, combining philosophy with simplicity. These verses capture the essence of self-belief and patriotism, making them timeless gems in Urdu literature.
ہیں عقدہ کشا یہ خار صحرا
کم کر گلۂ برہنہ پائی
Hain uqda-kusha yeh khar-e-sahra
Kam kar gila-e-barehna-pai
سلطانیٔ جمہور کا آتا ہے زمانہ
جو نقش کہن تم کو نظر آئے مٹا دو
Sultani-e-jamhur ka aata hai zamana
Jo naqsh-e-kuhn tum ko nazar aaye mita do
یہ ہے خلاصۂ علم قلندری کہ حیات
خدنگ جستہ ہے لیکن کماں سے دور نہیں
Yeh hai khulasa-e-ilm-e-Qalandari ke hayaat
Khudang-e-justa hai lekin kamaan se door nahi
Sabab kuch aur hai tu jis ko khud samajhta hai
Zawaal banda-e-momin ka bezari se nahi
Hazaar baar hakeemon ne is ko suljhaya
Magar yeh masla zan raha waheen ka waheen
Aqal-o-dil-o-nigaah ka murshid-e-awaleen hai ishq
Ishq na ho to shara-o-deen but kade tasawurat!
Qafila-e-Hijaz mein aik “Hussainؑ” bhi nahi
Garche hai taab daar abhi gesuye Dajla-o-Furat!
Kya mera tazkira jo saqi ne bada khwaron ki anjuman mein
To peer-e-maikhana sun ke kehne laga ke munh phat hai khaar hoga
Kaha jo qumri se maine ek din yahan ke azaad pagal hain
To ghunche kehne lage hamare chaman ka yeh raazdaar hoga
Tumhari tehzeeb apne khanjar se aap hi khudkushi karegi
Jo shaakh-e-naazuk pe aashiyana banega napaidar hoga
Safeena-e-barg-e-gul bana le ga qafila-e-mor-e-natwan ka
Hazaar maujon ki ho kashakash magar yeh darya se paar hoga
Jo aik tha aye nigah tu ne hazar kar ke humein dikhaya
Yeh hi agar kefiyat hai teri to phir kise aitbaar hoga
Best 2 Lines Shayari by Allama Iqbal
The best 2 lines Shayari by Allama Iqbal conveys powerful messages in just a few words. His poetry focuses on self-awareness, spirituality, and the quest for freedom. These concise verses resonate with readers of all ages, offering guidance and motivation.
Hai yaad mujhe nukta-e-Salman khush aahang
Duniya nahi mardaan-e-jafa kash ke liye tang
Yeh deyr-e-kuhan kya hai anbaar-e-khas o khashak
Mushkil hai guzar is mein be naala-e-aatish-naak
Hua na zor se is ke koi garebaan chaak
Agarche maghribiyon ka junoon bhi tha chaalaak
Fitrat ne na bakhsha mujhe andesha-e-chaalaak
Rakhti hai magar taqat-e-parwaaz meri khaak
Diyar-e-maghrib ke rehne walo khuda ki basti dukan nahi hai
Khara hai jise tum samajh rahe ho woh ab zar kam ayaar hoga
Sama sakta nahi pehnaaye fitrat mein mera sauda
Ghalat tha aye junoon shayad tera andaaza-e-sehr
Karenge ahl-e-nazar tazah bastiyan abaad
Meri nigah nahi sooye Kufa o Baghdad
Yeh kaun ghazal khwaan hai pursez o nashaat angez
Andesha-e-dana ko karta hai junoon aamez
Hazaar khauf ho lekin zubaan ho dil ki rafeeq
Yahi raha hai azal se qalndaron ka tareeq
Meer-e-sipah na-saza lashkariyaan shikasta saf
Aah woh teer-e-neem kash jis ka na ho koi hadaf
Man hais-e-qoum kuch bhi ho, Sunni ho ya Shia
Millat ke pasbaan ko na kuch is se waasta
Mita di apni hasti ko agar kuch martaba chahe
Ke daana khaak mein mil kar gul o gulzar banta hai
Qalam uthta hai to sochain badal jaati hain
Ek shakhs ki mehnat se millatein tashkeel paati hain
Iqbal ke baare mein kya kahen hum log
Shairi unki adab par kar rahi hai raaj
Mujhe aah-o-fughan neem shab ka phir payaam aaya
Tham aye rahro ke shayad phir koi mushkil maqam aaya
Allama Iqbal Poetry for Students
Allama Iqbal’s poetry for students is a treasure trove of motivation and guidance. His verses encourage youth to rise above challenges and strive for greatness. With themes of hard work, self-confidence, and determination, his poetry remains a beacon of hope for students.
Iqbal ke shaheen ki parwaaz jahan tak
Kargas ki kya majaal ke pahunche ga wahan tak
—
Pyaase sukoon-e-qalb ko maikhane na aayein?
Ho husn bemisaal aur deewane na aayein?
—
Qafila-e-ishq-o-wafa ka salar hai Iqbal
Kitaab-e-khudi ka anokha kirdar hai Iqbal
—
Mere “Iqbal” main sharminda hoon teri rooh se
Tere khwabon ki jo tabeer thi phir khwab kya
—
Likhi hai jis falak pe taqdeer-e-nau hamari
Aao na ghar basayein isi aasman pe yaaro
—
Mataa-e-be-baha hai soz-o-dard-o-aarzoo mand
Maqaam-e-bandagi de kar na loon shaan-e-khudawandi
—
Zindagi kuch aur shay hai, ilm hai kuch aur shay
Zindagi soz-e-jigar hai, ilm hai soz-e-dimaagh
—
Haya nahi hai zamane ki aankh mein baqi
Khuda kare ke jawani teri rahe be-daagh
—
Tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqeeron ki
Nahi milta yeh gauhar badshahon ke khazeenon mein
—
Watan ki fikr kar nadan, museebat aane wali hai
Teri barbadiyon ke mashware hain aasmanon mein
—
Yaqeen muhkam, amal paiham, mohabbat faateh-e-alam
Jihad-e-zindagani mein hain yeh mardon ki shamshiren
—
Soda-gari nahi, yeh ibaadat Khuda ki hai
Ae be-khabar, jazaa ki tamanna bhi chhod de
—
Tu ne yeh kya ghazab kiya, mujh ko bhi faash kar diya
Main hi to ek raaz tha, seenah-e-kainaat mein
—
Huwe madfoon dariya, zair dariya tairne wale
Tamanchay mauj ke khate thay jo ban kar guhar nikle
—
Na poocho mujh se lazat-e-khanman barbaad rehne ki
Nasheman sekron maine bana kar phoonk dale hain
—
Urooj-e-adam khaaki se anjum sahme jate hain
Ke yeh toota hua tara meh-e-kamil na ban jaye
—
Nigaah buland, sukhan dilnawaz, jaan parsoz
Yahi hai rakht-e-safar meer-e-karwan ke liye
—
Milega manzil-e-maqsood ka usi ko suraagh
Andheri shab mein hai cheetay ki aankh jiska chiragh
—
Gala to ghoont diya ahl-e-madrasa ne tera
Kahan se aaye sada La ilaha illallah
—
Be-khatar kood pada aatish-e-Namrood mein ishq
Aqal hai mahv-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi
—
Famous 2 Line Shayari of Allama Iqbal in Urdu
Famous 2 line Shayari of Allama Iqbal in Urdu showcases his unmatched talent as a poet. Through his thought-provoking couplets, he addresses universal themes of love, struggle, and hope. His poetic brilliance leaves a lasting impression on Urdu poetry lovers.
Jinhein main dhoondhta tha asmanon mein zameenon mein
Woh nikle mere zulmat khana-e-dil ke makeenon mein
—
Khudawanda yeh tere saadah dil bande kidhar jayein
Ke darveshi bhi ayyari hai sultani bhi ayyari
—
Hui na aam jahan mein kabhi hukumat-e-ishq
Sabab yeh hai ke mohabbat zamana saaz nahi
—
Moti samajh ke shaan-e-kareemi ne chun liye
Qatre jo the mere araq-e-infaal ke
—
Yeh kainaat abhi na tamam hai shayad
Ke aa rahi hai damadam sada-e-Kun FayaKoon
—
Attar ho, Rumi ho, Razi ho, Ghazali ho
Kuch haath nahi aata be-aah-e-sehergahi
—
Haan dikha de aye tasawwur phir woh subah o shaam tu
Daud peeche ki taraf aye gardish-e-ayam tu
—
Kushada dast-e-karam jab woh be-niaz kare
Niaz mand na kyun aajzi pe naaz kare
—
Main tuj ko batata hoon taqdeer e umam kya hai
Shamsheer o sanan awwal ta’ous o rabab akhir
—
Zamana aqal ko samjha hua hai mash’al-e-raah
Kise khabar ke junoon bhi hai sahib-e-idraak
—
Hawa ho aisi ke Hindustan se aye Iqbal
Ura ke mujh ko ghubar-e-raah-e-Hijaz kare
—
Roz-e-hisaab jab mera paish ho daftar-e-amal
Aap bhi sharmindah ho, mujh ko bhi sharmindah kar
—
Isi khata se itaab-e-muluk hai mujh par
Ke jaanta hoon ma’al-e-Sikandari kya hai
—
Meri nigah mein woh rind hi nahi saqi
Jo hoshiyari o masti mein imtiaz kare
—
Tu hai moheet-e-baikaraan, main hoon zara si aab jo
Ya mujhe hamkinar kar, ya mujhe bekinaar kar
—
Puraane hain yeh sitare falak bhi farsooda
Jahan woh chahiye mujh ko ke ho abhi naukhaiz
—
Maqaam-e-shauq tere qudsiyon ke bas ka nahi
Inhi ka kaam hai yeh jin ke hosle hain ziad
—
Chaman-zar-e-mohabbat mein khamoshi maut hai bulbul
Yahan ki zindagi paband-e-rasm-e-fughan tak hai
—
Nigah-e-ishq dil zinda ki talash mein hai
Shikaar-e-murda sazaawar-e-shahbaaz nahi
—
Inspirational Poetry of Allama Iqbal
The inspirational poetry of Allama Iqbal ignites the spirit of change and self-realization. His words urge readers to break free from limitations and embrace their true potential. His poetic wisdom continues to inspire generations worldwide.
Utho meri duniya ke gareebon ko jaga do
Kaakh-e-umra ke dar-o-deewar hila do
—
Paas tha nakaami-e-sayyad ka aye hum-safee
Warna main aur ur ke aata ek daane ke liye
—
Zamaam-e-kaar agar mazdoor ke haathon mein ho phir kya
Tareeq-e-kohkan mein bhi wohi heele hain Parvezi
—
Yahi zamana-e-hazir ki kainat hai kya
Dimaag roshan o dil teerah o nigah bebak
—
Mere junoon ne zamane ko khoob pehchana
Woh pairahan mujhe bakhsha ke para para nahi
—
Raaz-e-hayaat poochh le Khizr-e-Khush-gam se
Zinda har ek cheez hai koshish-e-na-tamaam se
—
Iqbal Lakhnau se na Dilli se hai gharz
Hum to aseer hain kham-e-zulf-e-kamal ke
—
Nahi muntazir-e-taab-e-shuneedan dastan meri
Khamoshi guftagu hai, bezubani hai zubaan meri
Conclusion:-
Allama Iqbal poetry in Urdu continues to inspire readers with its timeless themes of self-belief, spirituality, and patriotism. From his 2-line Shayari to his longer philosophical poems, his words remain relevant even today. If you enjoyed reading Iqbal’s poetic masterpieces, you may also like our posts on love poetry, sad poetry, Islamic poetry and Urdu quotes for more inspiring content.
For more about Allama Iqbal’s life and works, check out this post .
1 thought on “Allama Iqbal Poetry in Urdu – Best Shayari by Allama Iqbal”