Islamic poetry in Urdu holds a special place in the hearts of many people.The deep meanings and timeless messages in Islamic poetry , inspire readers to connect with their faith on a deeper level. Whether it’s about love for the Prophet (PBUH) or reflections on life, this poetry touches the soul.
In this collection of the best Shayari on Islam, we found the profound beauty of Urdu Islamic poetry. Also comment your favourite poetry in comments section.
وضو سے شکل، قرآن سے عقل
نماز سے نسل پاک ہوتی ہے
Wuzu se shakal, Quran se aqal,
Namaz se nasal paak hoti hai
ماں باپ کی دعا وقت تو کیا
نصیب بھی بدل دیتی ہے
Maan baap ki dua waqt to kya
Naseeb bhi badal deti hai
وہ جس کا کلام ہے قرآن وہ جس کا نام ہے رحمان
وہی ہے محبت کے قابل اک نظر کر دو اس کے نام
Woh jiska kalaam hai Quran Woh jiska naam hai Rehman
Wohi hai mohabbat ke qabil Ek nazar kar do us ke naam
غلطی پر شرمندگی عیب نہیں
بلکہ ضمیر زندہ ہونے کی دلیل ہے
Ghalti par sharmindagi aib nahi
Balki zameer zinda hone ki daleel hai
تاریخ اگر ڈھونڈھے گی ثانی محمد ﷺ
ثانی تو بڑی چیز ہے سایہ تک نہ ملے گا
Tareekh agar dhoondhay gi sani Muhammad ﷺ
Sani to bari cheez hai, saya tak na milega
بچپن کی باتیں کبھی مت بھولو
دعا کرتی ہوں نمازیں مت چھوڑو
Bachpan ki baatein kabhi mat bhoolo
Dua karti hoon, namazen mat chhoro
وہ گلیاں جن میں اے آقا تیرا پسینہ گرتا تھا
مجھے بھی ان گلیوں میں میرے مولا قضا دے دے
Wo galiyan jin mein ae Aaqa tera paseena girta tha
Mujhe bhi un galiyon mein mere Maula qaza dede
اسلام اور کفر ہمارا ہی نام ہے
کعبہ کنشت دونوں میں اپنا مقام ہے
Islam aur kufr hamara hi naam hai
Kaaba o kanshit dono mein apna maqam hai
دعاؤں ولیوں کی ہوگی، کرم اللہ کا ہوگا
وکالت پر نبی ہوں گے، عدالت پر خدا ہوگا
Duaon waliyoun ki hogi, karam Allah ka hoga
Wakalat par Nabi honge, adalat par Khuda hoga
گزریں کئی دہائیاں لیکن میں آج بھی
تاریک شب سے دن کی جھلک مانگ رہا ہوں
Guzriain kai dahaiyan lekin main aaj bhi
Tareek shab se din ki jhalak maang raha hoon
اُمید حسرتوں میں بھلا کیوں نہ بدلتا
آفت زدہ زمین سے فلک مانگ رہا ہوں
Umeed hasraton mein bhala kyun na badalta
Aafat zada zameen se falak maang raha hoon
جمہوریت کی کوکھ سے اسلامی مملکت
اک راکھ سے شعلے کی بھڑک مانگ رہا ہوں
Jamhooriyat ki kokh se Islami Mumlikat
Ik raakh se sholay ki bhadak maang raha hoon
ایک ہے جب مرجع اسلام و کفر
فرق کیسا سبحہ و زنار کا
Ek hai jab marja-e-Islam o kufr
Faraq kaisa subha o zunnar ka
Ae Sheikh agar kufr se Islam juda hai
Pas chahiye tasbeeh mein zunnar na hota
Yaad tha Suqrat ka qissa sabhi ko Ihtiram
Sochiye aise mein barh kar sach ko sach kehta to kaun
Islamic Poetry in Urdu 2 Lines – Best Islamic Shayari
Islamic poetry in Urdu, especially in two lines, carries immense beauty and wisdom. These concise yet powerful verses encapsulate deep spiritual messages, making them easy to remember and share.
Saath rakhiye kaam aayega bohot naam Khuda
Khauf gar jaga to phir kis ko sada di jayegi
Chhilkon ke hain anbaar magar maghz nadarad
Duniya mein musalman to hain Islam nahi hai
Tark de Islam ko aur kufr sara door kar
Chhod de hirs o hawa farzand aur zan bhool ja
Roz-e-azal se saath hai Islam o Kufr ka
Kab dana haaye subha se zunnar reh gaya
Gaahay gaahay hi sahi Amjad, magar ye waqia
Yun bhi lagta hai ke duniya ka Khuda koi nahi
Kufr o Islam ke jhagrhon se chhuraya sad shukr
Qaid-e-mazhab se junoon ne mujhe azad kiya
Khuda Hafiz hai ab ae Zahido Islam-aashiq ka
Butan-e-dahar ghalib aa gaye hain Kaaba o dil par
Umar to apni hui sab but-parasti mein basar
Naam ko duniya mein hain ab sahib-e-Islam hum
Lagata phir raha hoon aashiqon par kufr ke fatway
Zafar, waiz hoon main aur khidmat-e-Islam karta hoon
Be-maani kufr se Islam kab khaali hai ae Zahid
Nikal subha se rishta soorat-e-zunnar ho paida
Jo Sheikh hai chahe hai sar rishte-e-Islam
Qaim rahe tasbeeh ka ek taar na toote
Islam mein ye kaisa inkaar-e-kufr se hai
Tasbeeh mein paroe zunnar hai taajjub
Sheikh o Pandit dharam aur Islam ki baatein karein
Kuch Khuda ke qehar kuch inaam ki baatein karein
Chhod dein deir o haram kufr aur Islam ke log
Kaaba-e-dil mein jo dekhein mere butkhanah-e-ishq
Poetry About Islam in Urdu
Poetry about Islam in Urdu explores the divine connection between the believer and ALLAH ( SWT ) . These poems often reflect on topics like peace, love, and guidance found in the teachings of Islam.
Waraasta kar diya jise ulfat ne bas wo shakhs
Kab daam-e-kufr o rishte-e-Islam mein phansa
Silsila rakhta hai mera kufr kuch Islam se
Hain kai tasbeeh ke daane meri zunnar mein
Sar aankhon se karein sajda jidhar abroo hilaye wo
Juda kuch kufr aur Islam se mazhab hamara hai
Lagata phir raha hoon aashiqon par kufr ke fatway
Zafar, waiz hoon main aur khidmat-e-Islam karta hoon
Meer ke deen o mazhab ko ab poochhte kya ho, in ne to
Qashqa kheencha deir mein baitha, kab ka tark-e-Islam kiya
(Meer Taqi Meer)
—
Itne makhdoom butaan hain jo ye kafir chahein
Pahnein zunnar abhi, chhod dein Islam ko hum
—
Hum Mus’hafi ba kufr to mashhoor ho chuke
Aana qubool ab nahi Islam mein humein
—
Aalam se hamara kuch mazhab hi nirala hai
Yani hain jahan hum wahan Islam nahi hota
—
Sheikh maghroor hai Islam pe kya saath apne
Teri tasbeeh to zunnar liye phirti hai
—
Sheikh le hai raah Ka’abe ki barahman deir ki
Ishq ka rasta juda hai kufr aur Islam se
—
Islam ka saboot hai ae sheikh kufr se
Tasbeeh toot jaye jo zunnar toot jaye
(Munawar Khan Ghafil)
—
Bhatke phire do amla-e-deir o haram mein hum
Is simt kufr is taraf Islam le gaya
—
Charagh-e-sajda jala ke dekho, hai butkada dafan zair Ka’aba
Hudood-e-Islam hi ke andar ye sarhad-e-kufri milegi
(Siraj Lakhnavi)
—
Poochhne walon ko kya kahiye ke dhoke mein nahi
Kufr o Islam haqeeqat mein hain yaksa hum ko
—
Gharz na farqat mein kufr se thi, na kaam Islam se raha tha
Khayaal-e-zulf-e-butan hi har dam humein, to leil-o-nahar aaya
—
Kufr o Islam ke jhagde ko chuka do sahib
Jang aapas mein karein sheikh o brahman kab tak
(Saba Akbarabadi)
—
Apne mazhab mein hai ek shart-e-tariq-e-ikhlaas
Kuch gharz kufr se rakhte hain na Islam se hum
(Santokh Rai Betaab)
—
Qibla ban jaye jahan to koi pathar rakh de
Dast-e-Islam wahiin deen ka manbar rakh de
(Muztar Khairabadi)
—
Mohabbat se hum apni baat ka aaghaz karte hain
Ke dushman bhi hamari guftagu pe naaz karte hain
—
Kahan se fitna uthta hai kahan nafrat panapti hai
Samajh lete hain sab lekin nazar andaz karte hain
—
Madine Paak mein ya Rab mujhe thodi jagah de de
Phir kabhi na aaoon wapas mujhe aisi saza de de
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Mere Aaqa mere Maula mujhe roza pe bulwale
Mujhe bhi rutba naukar ka mere khair-ul-wara de de
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Khalq teri takhleeq ki koi had to nahi Takhleeq-e-Mustafa teri had hai, kamaal hai
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Best Shayari on Islam in Urdu
The best Shayari on Islam in Urdu resonates with the heart, conveying profound respect and love for Islam and its values. These verses offer deep insights into the teachings of Islam, bringing peace and guidance to the reader.
Momin ishq se hai aur ishq momin se
Ishq se naamumkin bhi hamare liye mumkin hai
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Kya bataoon, kya hi sukoon hai
Allah ki namazon mein
Tu ek baar sajda raiz ho kar to dekh
Tera uthne ka jee nahi karega
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Zamane mein jo Abdul hai, usay Rehman kehte hain
Kitabon mein jo afzal hai, usay Qur’an kehte hain
Basa le apne seene mein agar in tees paron ko
Zamane bhar mein usay Hafiz-e-Qur’an kehte hain
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Gham hi phir aisa mila ke baat namaz tak ja pohanchi
Faqat ek sajda kiya aur dastaan-e-Khuda tak ja pohanchi
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Deedar-e-Mustafa ﷺ mein koi gora hai na kaala hai
Nabi se ishq hai jisko wohi Allah wala hai
Zamane ki museebat se bachane ke liye sab ko
Idhar Ajmer wala hai, udhar Baghdad wala hai
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Qafila-e-Hijaz mein ek Hussain bhi nahi
Garche hai tabdar abhi gesu-e-Dajla-o-Furat Aqal-o-dil-o-nigaah ka Murshid-e-awwalin hai ishq
Ishq na ho to shara-o-deen butkada-e-tasawurat
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Nikla tha tujhe dhoondne ek hijr ka tara
Phir us ke taaqub mein gayi saari jawani
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Ajab mod pe thehra hai qafila dil ka
Sukoon dhoondne nikle the, wahshatein bhi gayi
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Khuchon se main chiriyon ki chehak maang raha hoon
Sehraon se gulshan ki mehek maang raha hoon
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Khush fahmiyan to dekhiye, bujhte chiragh se
Barson se sitaron ki chamak maang raha hoon
قرطاس کے چہرے پہ،
اک لفظ لکھا میں نے
اُس لفظ کی خوشبو سے
قرطاس معطر ہے
اُس نام کی کرنوں سے
ہر چیز منور ہے
وہ لفظ مکمل ہے
وہ لفظ محمد ﷺ ہے❤✍️
—
Qirtas ke chehre pe,
Ek lafz likha mein ne
Us lafz ki khushboo se
Qirtas mu’attar hai
Us naam ki kiranon se
Har cheez munawwar hai
Woh lafz mukammal hai
Woh lafz Muhammad ﷺ hai❤✍️
—
پت جھڑ کی دہلیز پہ بکھرے
بے چہرہ پتوں کی صورت,,
ہم کو ساتھ لئے پھرتی ہے
تیرے دھیان کی تیز ہوا
—
Pat jhar ki dehleez pe bikhre
Be chehra paton ki soorat,,
Hum ko saath liye phirti hai
Tere dhyan ki tez hawa
اہلِ بیتِ پاک سے گستاخیاں بے باکیاں
لعنۃ اللہ علیکم دشمنانِ اہلبیت
Ahl-e-Bait-e-Pak se gustakhiyan be-baakiyan
La’natullah alaykum dushmanan-e-Ahl-e-Bayt
خوں سے چراغ دیں جلایا حسینؓ نے
رسم وفا کو خوب نبھایا حسینؓ نے
Khoon se chiraagh den jalaaya Hussain (AS) ne
Rasm-e-wafa ko khoob nibhaaya Hussain (AS) ne
Islamic Poetry in Urdu & Best Shayari on Islam
Urdu Islamic poetry beautifully captures the essence of faith, love, and spirituality. With its rich tradition, it expresses the profound emotions Muslims feel for ALLAH SWT and the Prophet (PBUH).
Shaayad wafa ke khel se ukta gaya tha woh
Manzil ke paas aake jo rasta badal gaya
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Yeh tera husn yeh kaafir si adaayein teri
Kaun reh sakta hai aise mein Musalmaan jaana
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Jaan-e-Batool (RA) ke siwa koi nahi khula sakta
Qatra-e-aab ke baghair itne gulab reet par
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Jitne sawaal ishq ne, Aal-e-Rasool (SAW) se kiye
Aik ke baad ik diye, saare jawab reet par
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Pyaasa Hussain (AS) ko kahoon itna to be-adab nahi
Lams-e-lab-e-Hussain (AS) ko, tarsa hai aab reet par
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Be ijazat jin ke ghar Jibra’il aate nahi
Qadr wale jaante hain qadr o shaan-e-Ahl-e-Bayt
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Sar shaheeda-e-wafa ke hain neezon pe buland
Khuda ne aur unchi ki qadr o shaan-e-Ahl-e-Bayt
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Be-adab gustakh firqay ko suna do aye Hassan
Yoon kaha karte hain Sunni daastaan-e-Ahl-e-Bayt
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Yeh shab kahin Shab-e-Ashoor to nahi logo
Udaas chaand hai, tare hain tilmilaaye hue
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Sab kuch Khuda ki
Raah mein qurbaan kar diya
Asghar sa phool bhi na bachaya Hussain (AS) ne
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Shaah bhi Hussain hai,
Badshah bhi Hussain hai,
Deen bhi Hussain hai
Deen ki panaah bhi Hussain hai.
Sar de diya
Yazid ke haath mein haath na diya
Sach yeh hai ke Kalma-e-Tayyiba ki buniyad bhi
Hussain hai!!
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Koi bhi cheez apni jagah par nahi rahi
Jaate hi aik shakhs ke kiya kiya badal gaya!
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Aankhon mein jitne ashk thay jugnu se ban gaye
Woh muskuraya aur _________meri duniya badal gaya
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Jo dekhne ka tumhein ehtamaam karte hain
Zameen se jhuk ke sitare salaam karte hain
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Tu aao aaj se hum aik kaam karte hain
Wafa ke naam sabhi subah o shaam karte hain
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Kabhi jo baam pe thehre to chaand ruk jaye
Ghazal dekh ke usko kharaam kar
te hain
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Kisi ki aankh jo par nam nahi hai
Na samjho yeh ke usko gham nahi hai
Conclusion:-
In conclusion, Urdu Islamic Poetry and Best Shayari on Islam offer a best way to connect with the spiritual beauty of Islam. These verses remind us of the love, peace, and guidance that Islam provides. From Islamic Poetry in Urdu to 2-line Shayari, each poem serves as a timeless reflection of faith, making it easy for readers to relate and draw inspiration.
You can also read Love Poetry, Sad Poetry and Urdu Quotes here. You can also check hamari web for more Islamic poetry.
1 thought on “Urdu Islamic Poetry – Best Shayari on Islam”