Best Udass Poetry in Urdu – 2 line udass shayari

Udass poetry, also known as sorrowful shayari, is a profound expression of deep emotions. This form of poetry captures the essence of heartbreak, loneliness, and sadness in beautifully crafted words. Whether it’s a simple two-line couplet or a long ghazal, this poetry often mirrors the inner pain of its audience. Poets like Mirza Ghalib, Ahmed Faraz, and Faiz Ahmed Faiz have masterfully conveyed human sorrow, giving voice to emotions that are hard to express.

Reading or sharing such poetry allows individuals to express with their feelings, making them feel less alone. With its rich history and emotional depth, udass shayari continues to inspire and comfort people around the globe. Whether you’re a poetry lover or someone exploring Urdu literature, these verses offer a glimpse into the human soul.

Best udass shayari in Urdu

Apni nazron ko phair kar us ne

Mere har gumaan ko yaqeen kar dala

Best udass Poetry in Urdu

Na khol mere makaan ke udaas darwaze,

Hawa ka shor meri uljhanen barha dega.

Udass Poetry

Kya kabhi aap par bhi guzra hai,

Koi lamha kisi sadi ki tarah?

Udass Poetry in Urdu text

Phool mango to zakham dete hain,

Ab yahi rasm doston thahri

Udass Poetry in Urdu text

Judaaiyan to yeh maana badi qayamat hain,

Rafaatoon mein dukh kis kadar hain kya kehain.

Dill udass Poetry in Urdu

ایک ہی اپنا ملنے والا تھا

ایسا بچھڑاکہ پھر ملا نہیں

Ek hi apna milnay wala tha,

Aisa bichad ke phir mila nahi.

Zindagi udas poetry

میرے احباب مجھے لُوٹ کے نکلے ہیں ابھی

میرے دُشمن تُجھے اس بار بھی تاخیرہوئی

Mere ahbaab mujhe loot ke nikalay hain abhi,

Mere dushman tujhe is baar bhi takheer hui.

Dill udass Poetry

بچوں کی طرح چاہے مجھے ڈانٹ لے کوئی

لیکن یہ شرط ہے میرے غم بانٹ لے کوئی

Ek bachon ki tarah chahe mujhe daant le koi,

Lekin yeh shart hai mere gham baant le koi.

Udas poetry in Urdu

دل دُکھایا کرو اجازت ہے

بھول جانے کی بات مت کرنا

Dil dukhaaya karo ijazat hai,

Bhool jane ki baat mat karna.

Urdu udas poetry

اور ضمانت وفا کی کیا ہوگی

تم میری سانس گِروی رکھ لونا

Aur zamaanat wafa ki kya hogi,

Tum meri saans girwi rakh lona.

Udas Urdu shayari

ایک تیر ا بچھڑ نا

مجھے خاموش کر گیا

Ek teer a bicharna,

Mujhe khamosh kar gaya.

Urdu poetry udas

سب کو چھوڑا تیرے لیے اور اب

تجھ سے ملنے کابھی ارادہ نہیں

Sab ko chhoda tere liye aur ab,

Tujh se milne ka bhi irada nahin.

 

Best Udass poetry in Urdu :-

The best udass poetry in Urdu captures emotions in their rawest form and beauty in heartfelt words. These verses often depict the struggles of life, unspoken sorrows, and moments of deep reflection.

Poetry udas

اب مجھے کون جیت سکتا ہے

تو میرے دل کا آخری ڈرتھا

Ab mujhe kaun jeet sakta hai,

Tu mere dil ka aakhri dar tha.

Udas poetry

شہر خموشاں میں روز کا آنا جانا ہے اب اپنا

وقاص اپنے لیے آخری آرام گاہ ڈھونڈ رہاہے

Sheher khamoshan mein roz ka aana jana hai ab apna,

Waqas apne liye aakhri aaraam gaah dhoond raha hai.

Alone poetry in Urdu

ایک مدت سے میسر ہی نہیں ہے دل کو

وہ لفظ جس کو ،قرار ، کہتے ہیں

Ek muddat se mayassar hi nahi hai dil ko,

Woh lafz jisko “qaraar” kehte hain.

Udas shayari alone poetry

جس کی سُن لو وہی فرشتہ ہے

نہ جانے انسان کہاں رہتے ہیں

Jis ki sun lo wohi farishta hai,

Na jaane insaan kahan rehtay hain

Udas dil poetry

شجر توتھے ہی نہیں راستے میں کیا کرتے

خود اپنے سائے میں چل کرسفر تمام کیا

Shajar to thay hi nahi raste mein kya karte,

Khud apne saaye mein chal kar safar tamam kiya.

Dill udass Poetry

تجھ سے مانگوں بھیک اوروہ بھی پیارکی

اب اتنا بھی بُرا وقت میری جان نہیں آیا

Tujh se maangoon bheekh aur woh bhi pyar ki,

Ab itna bhi bura waqt meri jaan nahi aaya.

Udasi poetry

طویل اثرات ، چھوڑجاتا ہے

یوں تیرامختصر سا یادآنا

Taveel asraat, chhod jata hai,

Yoon tera mukhtasar sa yaad aana.

Udas Urdu shayari

آج بھی سورج ڈوب گیا دور اُفاق کے ساگر میں

آج بھی پھول چمن میں تجھ کو بِن مرجھائے

Aaj bhi sooraj doob gaya door ufaaq ke saagar mein,

Aaj bhi phool chaman mein tujh ko bin mirjhaye.

URDU poetry udas

مجھ کو مجھ میں جگہ نہیں ملتی

تو ہے موجوداس قدر مجھ میں

Mujh ko mujh mein jagah nahi milti,

Tu hai mojood is qadar mujh mein.

Urdu udass Poetry

جو بیت گئی دل پے کب اس کی شکایت کی

ایک موم کی گڑیانے سورج سے محبت کی

Jo beet gayi dil pe kab uski shikayat ki,

Ek mom ki gadiyane sooraj se mohabbat ki.

 

Best udass shayari in Urdu:-

Udass shayari in Urdu is a timeless expression of sadness and longing. Its beauty lies in its simplicity and profound meaning, making it relatable to anyone who has experienced pain.

Udas shayari in Urdu

ہر چیز دستیاب ہے دنیا جہاں کی

لیکن تیری کمی کا ازلانہیں ہوسکتا

Har cheez dastiyaab hai duniya jahan ki,

Lekin teri kami ka azlanahin ho sakta.

Urdu udas poetry

وہ میرا تھا اس میں گماں نہیں کوئی

کیونکہ درد دیا کرتے ہی اپنے ہیں اکثر

Woh mera tha is mein gumaan nahi koi ‘Aini’,

Kyunki dard diya karte hain apne hain aksar.

Zindagi Urdu poetry

Soyi hui tarap ko phir se jagaa raha hai,

Kehta to kuch nahin hai bas yaad aa raha hai

Zindagi Urdu poetry

Woh paish lafz tha jisne rula diya hai tujhe,

Sambhal khud ko, abhi dastaan baqi hai.

Life poetry in Urdu

Yaad karke tere laut aane ke waadon ki ghari,

Khud ko ik masoom bachay ki tarah behlaon main.

Dill udass Poetry

Aisa bichhra ke mila hi nahi phir us ka pata

Haye! Woh shakhs jo aksar mujhe yaad aata hai

Udas dill poetry

دوچار نہیں مجھے فقت ایک ہی دیکھادو”دوست”

وہ شخص جو اندر سے بھی باہر کی طرح کاہو

Do chaar nahi mujhe faqat aik hi dekhado “dost”,

Woh shakhs jo andar se bhi bahar ki tarah ka ho.

Udas poetry Urdu

Hai koi sheher mein aisa ke jise mein,

Apna na kahoon aur woh mujhe apna samjhay.

Udas shayari in Urdu

Raat darwazay ki dastak pe dhyan na diya,

Subah pairon ki nishan dekhay to bohot roye.

Urdu udas poetry

Haqeeqat talkh hai lekin batana bhi zaroori hai,

Agar ehsaas so jaye, jagana bhi zaroori hai.

Urdu udas poetry

Mere sayyaad se keh do nahin ab lautna mumkin,

Samandar mein gire qatre ko phir paya nahin jata.

Best 2 line Urdu sad udass Poetry

Raakh se aaj bhi uthta nazar aata hai dhuwan,

Dil jalata tha kabhi alfaaz ke angaron par.

 

Udass poetry in Urdu text :-

Finding udass poetry in Urdu text is a treasure for poetry lovers who wish to immerse themselves in the beauty of sorrowful verses. Written in the elegant script of Urdu, these poems not only express emotions but also showcase the richness of the language. Each word feels like a melody, touching the soul of anyone who reads it.

Log muntazir hi rahey mujhe toot’ta dekhein,
Aur main patthar ka ho gaya zabt karte karte
🪨💔

Chaandni raat ke khamosh sitaron ki qasam,
Dil mein ab tere siwa koi bhi abad nahi
🌙✨❤️

Yeh sard shaamein bhi kis kadar zalim hain,
Baziher sard hoti hain magar unmein dil sulagta hai
❄️🔥💔

Jo na mil sakay wohi be wafa, yeh badi ajeeb si baat hai,
Jo chala gaya mujhe chhodkar wohi aaj tak mere saath hai
💔🤷‍♂️

Tum qaflay mohabbat ke kuch dair rook lo,
Aate hain hum bhi paon se kaantay nikaal kar
🌹⏳🛑

Ik tooti phooti kashti, ik khushk samundar dekha,
Kal shab maine jhank ke apne andar dekha
⛵🌀🫥

Tu mujhe dhoond, main tujhe dhoondoon,
Koi hum mein se reh gaya hai kahin
🔍🤝❓

Dar haqeeqat khata thi, dono ki,
Isko jaana tha, maine jaane diya
⚖️🚶‍♂️💔

Bas sun kar mera lehja woh samajhta hai sab acha,
Muddat hui usne meri aankhen nahi dekhin
🎧👀💔

Rehtay huay is jahan mein muddat guzar gayi,
Phir bhi apne ko ajnabi paata hoon main
🌎⏳🤷‍♂️

Yeh na pooch,
Shikayatein kitni hain tum se,
Tu bata tera koi aur sitam baqi to nahi
❓😢💔

Hum ne kacchi umrion mein jeevan ke woh dukh jhelay,
Jin umrion mein rakhte hain sab mor ke pankh kitaabon mein
📖🦚💔

Usay rokte to kis tarah ke woh shakhs itna ajeeb tha?
Kabhi tarap utha meri aah kabhi ashk se na pighal saka
😢🔥💧

Ho sakay to doston mein kuch tabassum baant do,
Gham ke afsaane to har kisi ke saath hain
😊🤝💔

Suna hai jin ki baatein misal khushboo phail jati hain,
Bohat bikhre hue hote hain aise log andar se. 🌹💔

Is marhalay ko maut bhi kehte hain dosto,
Ik pal mein toot jayein jahan umr bhar ke saath. ⏳💔

Ik taveel arsey ke baad,
Hansi aayi bhi to apne hi haal par. 😢🕊️

Kahega jhoot woh hum se tumhari yaad aati hai,
Koi hai muntazir kitna yeh lahjay bol dete hain. 🥀🤫

Kash tu mujh ko mesar hi na aaya hota,
Kash main teri mohabbat ka na aadhi hota. 💔🖤

Mera din udaas hai aur raat tanha si ae dost,
Kya qasoor tha mera faqat tujh se mohabbat ke siwa. 🌙💔

Pehle sochta tha ke ek safah ho kahani bayan karne ko ‘Aini’,
Phir khayal aaya ke iska naam hi kaafi hai is dastaan ke liye. 📖✨

Tujh se bichad to kisi dar ka na raha,
Khushk patte ki tarah aaj bhi safar mein hoon. 🍂🚶‍♂️

Mohabbat mein yehi khauf kyon musallat hai,
Mere siwa bhi kisi se use mohabbat hai. 💔😔

Ab na dhoondna mujhe zameen wa aasman ki gardish mein,
Tere dil mein nahi hoon to phir kahin bhi nahi. 🌍❌❤️

Mujhe pata tha ke log dil jaate hain,
Main ne kabhi tumhe logon mein gina hi nahi tha. 🥀🤍


Bohat naaz tha mujhe apne chahne walon par,
Main azeez tha sab ko magar zaruraton ke liye 🥀💔

Tu mujh se doori barhane ka shauq poora kar
Meri bhi zid hai, tujhe har dua mein maango ga 🙏❤️

Kuch gham nahi is se bichhad jaane ka shakir,
Afsos itna hai mera ho ke bhi mera na sakaa😔💔

Chalo ke aaj bachpan ka koi khel khelain Khabeeb,
Bari muddat hui be wajah hans kar nahi dekha 🎠😊

Jin ki aankhon ka muqaddar nahi banti neenden,
Un ke sab khawab adhure hi hua karte hain 😔💔

Badal gaya kyun mizaj us ka kuch hi muddat mein,
Woh to kehta tha badalte log usay achay nahi lagte 🤔💭

Talaqaat mein aisi rawadari bhi na ho Mohsin,
Mile to mil lena bichhade to yaad bhi na karna 🤝💔

Hum ne aaghosh mohabbat se yeh seekha hai sabaq,
Jis ne zinda nahi rehna woh mohabbat kar le 💘😢

Log to majboor hain maarenge patthar,
Kyun na sheesho se keh dein toot na karen 🪨💔

Agar mujh se bichhadne ka nahi hai gham usay,
To khamosh raaton mein aksar jaagta kyun hai 🌙💭

Woh door beet gaya jab tere bina humein
Tamaam sheher ke raste udaas lagte the 🛤️💔

Guzar rahi hai be-lutf si zindagi
Na dil lagi mein maza na dil lagane mein 🕰️😞

Main woh tasveer hoon jis ko musawwar
Adhura chhod ke khud ro pada 🎨😢

Nahi hum ko shikayat ab kisi se bas apne aap se roothe hue hain,
Bazahir khush hain lekin sach batayein hum andar se bohot toote hue hain 😊💔

Chali gayi to laut kar nahi aayegi.
Is kadar na sitao bohot udaas hoon aaj kal 😞🚶

Mohabbat karne wale kam na honge!
Teri mehfil mein lekin hum na honge 💔🎶

Neend aati thi jis ko tere so jane se
Soch zara kaise soya ho ga tere door jane se😴💭

Tarso ge tum bhi aik din ye soch kar.
Woh apna bhi na tha aur ehsaas bhi apno se zyada karta tha 💔🤝

Mujhe lamha bhi saal lagta hai.
Aur tum ne saalon se taal rakha hai ⏳😔

Main tum se kaise kahoon aye mere mehrban
Tu hi ilaaj hai meri har udasi ka 💊💔

Jab tum kisi ki aankhon mein nami aur labon pe hansi dekho 😥😥
To samajh lena woh shakhs andar se bohat gehra toota hai 💔😭

Kaise tehreer kar paonga aaj ahwal apna
Lafz afsurdah se, zehan uljha sa aur lehja bezar sa 🖋️😔

Weerani mere andar ki lagta hai yun jaayegi…
Kalma parha jayega dil ki dhadkan ruk jayegi 🖤🕊️

Zimmedariyon ke hujoom mein
Jo cheez sab se pehle gum hoti hai
Woh bas apni shakhsiyat hoti hai 🤯😞

Manzil to khush naseebon mein taqseem ho gayi
Kuch khush khayal log abhi tak hain safar mein 🛤️✨

Woh jo talkh baton pe qahqahay lagata hai
Saray aansu hi ro chuka ho ga 😢💔

Nazar andaaz karte ho to lo hat jate hain nazron se
In hi nazron se dhoondo ge nazar jab hum na aayenge. 👀💔

Purani tasvirein dekhte hue aksar muskurahat
Aur kabhi kabhi aankhon mein nami si aa jati hai 🖼️🙂😢

Haaye woh pooch baithe hain sabab udaasi ka
Khudaara humein toh bahaane banaana bhi nahi aate 😔🤷

Ho sake toh door hi raho mujh se
Toota hua hoon kahin chubh na jao
💔✨

Mere khwabon ki basti se janaaze roz uthtay hain
Meri aankhein jise choo lein woh sapna mar hi jaata hai
😔💭⚰️

Kuch log safar ke liye mozu nahi hotay
Kuch safar akele bhi nahi kattay usay kehna
🚶‍♂️🤝🚶‍♀️

Hasraton ke dafn ka samaan hona chahiye
Dil ke aik konay mein qabristan hona chahiye
💔⚰️🖤

Hum mein woh khoobi hai jo har kisi mein nahi
Koi chaar baatein dil se kiya karta hai unhein dil haal suna detay hain
💬❤️✨

Udaas rehne ka mujhe koi shauq nahi
Bas tere saath bitaye hue pal mein bhool nahi pata
😢🕰️💞

Chidiyaan ki tarah hum bhi shajar chhod jaayenge
Tarsein ge log phir hamaray shor ko
🐦🌳🕊️

Main khud bhi toh hoon apne aap ke peeche para hua
Mera shumaar bhi toh mere dushmanon mein hai
😶‍🌫️🌀😕

Apne andar ke bachay ko hamesha zinda rakhein
Hadd se zyada samajhdari zindagi ko bore kar deti hai
👶🌟🤔

Hum se kya poochhte ho hum ko kidhar jana hai
Hum toh khushboo hain beharhal bikhar jana hai
🌸✨🍃

Ab muskurana toh meri majboori ban gayi hai
Udaas honge toh log samjhenge ke hum mohabbat mein haar gaye
🙂💔😔

Main toh chup hoon ke andar se bohat khaali hoon
Aur kuch log pur-asraar samajhte hain mujhe
🤫🖤❓

 

Conclusion:-

Udass poetry holds a special place in Urdu literature, as it beautifully portrays the emotions of sadness, longing, and heartbreak. Its timeless verses have the power to connect with readers on a deeply personal level, offering both comfort and inspiration. Whether you explore it through classic poets or modern expressions, udass shayari remains a poignant reminder of the beauty that lies in vulnerability and human emotions. For more udass you can also visit this website

Read here more,

Leave a Comment