Urdu poetry is a timeless treasure that touches the hearts of millions. From love and sadness to life’s deep emotions, it beautifully captures every feeling in just a few words.
In this blog, we bring you the best Urdu poetry and shayari for 2024, featuring famous poets, emotional verses, and heartfelt expressions. Whether you’re a fan of romantic poetry or looking for sad shayari, this collection has something special for everyone.
الٰہی کیا کھلے دیدار کی راہ
ادھر دروازے بند آنکھیں ادھر بند
Ilahi kya khule deedaar ki raah
Idhar darwaze band, aankhein udhar band
درد کا ذائقہ بتاؤں کیا
یہ علاقہ زباں سے باہر ہے
Dard ka zayika bataoon kya
Yeh ilaqa zubaan se bahar hai
درد کا پھر مزہ ہے جب اخترؔ
درد خود چارہ ساز ہو جائے
Dard ka phir maza hai jab Akhtar
Dard khud charah-saz ho jaye
کشتیاں ٹوٹ گئی ہیں ساری
اب لیے پھرتا ہے دریا ہم کو
Kashtiyan toot gayi hain saari
Ab liye phirta hai darya hum ko
اس قمر کو کبھی تو دیکھیں گے
تیس دن ہوتے ہیں مہینے کے
Is qamar ko kabhi to dekhenge
Tees din hote hain maheene ke
جان لیوا تھیں خواہشیں ورنہ
وصل سے انتظار اچھا تھا
Jaan lewa thi khwahishein warna
Wasl se intezaar accha tha
عقل و دل اپنی اپنی کہیں جب خمارؔ
عقل کی سنیے دل کا کہا کیجئے
Aqal-o-dil apni apni kahe jab Khumar
Aqal ki suniye dil ka kaha kijiye
یار میں اتنا بھوکا ہوں
دھوکا بھی کھا لیتا ہوں
Yaar mein itna bhooka hoon
Dhoka bhi kha leta hoon
ہاتھ چھڑا کر جانے والے
میں تجھ کو اپنا سمجھا تھا
Haath chhuda kar jane wale
Main tujhe apna samjha tha
درد دل کیا بیاں کروں رشکیؔ
اس کو کب اعتبار آتا ہے
Dard-e-dil kya bayan karoon Rashki
Is ko kab aitbaar aata hai
Is liye aarzu chhupai hai
Munh se nikli hui parayi hai
Katti hai aarzu ke sahare pe zindagi
Kaise kahoon kisi ki tamanna na chahiye
Khaak se saikron ughay khursheed
Hai andhera magar charagh talay
Best Urdu Poetry in Urdu Language for 2024
Urdu Shayari has a timeless charm, brings a fresh collection of verses that capture the essence of emotions like love, sadness, and life. These masterpieces in the Urdu language reflect the beauty of heartfelt expressions and connect deeply with readers.
Lahoo tapka kisi ki aarzu se
Hamari aarzu tapki lahoo se
Woh kuch muskaraana woh kuch jheenp jaana
Jawani adaayein sikhaati hain kya kya
Pooch lete woh bas mizaaj mera
Kitna aasan tha ilaaj mera
Kar ke dafn apne pa Aye chal diye
Bekasi ka qabr par maatam raha
Dard barh kar dawa na ho jaye
Zindagi be-maza na ho jaye
Dard mairaaj ko pohanchta hai
Jab koi tarjuman nahi milta
Kare hai adawat bhi woh is ada se
Lage hai ke jaise mohabbat kare hai
Yeh jo sar neeche kiye baithe hain
Jaan kitnon ki liye baithe hain
Andheron ko nikala ja raha hai
Magar ghar se ujala ja raha hai
Ishq mein kuch nazar nahi aaya
Jis taraf dekhiye andhera hai
گھٹا دیکھ کر خوش ہوئیں لڑکیاں
چھتوں پر کھلے پھول برسات کے
Ghata dekh kar khush hui ladkiyan
Chhaton par khilay phool barsaat ke
ہم سے پوچھو مزاج بارش کا
ہم جو کچے مکان والے ہیں
Hum se poochho mizaj barish ka
Hum jo kacche makaan walay hain
یاد آئی وہ پہلی بارش
جب تجھے ایک نظر دیکھا تھا
Yaad aayi woh pehli barsaat
Jab tujhe ek nazar dekha tha
Best Urdu Shayari: Poetry Text of Famous Poets
Urdu shayari by famous poets is known for its profound depth and artistic flair. These poetic gems showcase the brilliance of renowned poets like Mir, Ghalib, and Faiz, blending their thoughts on love, sorrow, and life’s complexities.
اے دل بے قرار چپ ہو جا
جا چکی ہے بہار چپ ہو جا
Ae dil beqaraar chup ho ja
Ja chuki hai bahaaar chup ho ja
جب سے چھوٹا ہے گلستاں ہم سے
روز سنتے ہیں بہار آئی ہے
Jab se chhota hai gulistan hum se
Roz sunte hain bahar aayi hai
عرض احوال کو گلا سمجھے
کیا کہا میں نے آپ کیا سمجھے
Arz-e-ahal ko gila samjhe
Kya kaha main ne, aap kya samjhe
اپنے دامن میں ایک تار نہیں
اور ساری بہار باقی ہے
Apne daaman mein aik taar nahi
Aur saari bahar baaqi hai
کیوں مزاحم ہے میرے آنے سے
کوئی ترا گھر نہیں یہ رستا ہے
Kyun muzaahim hai mere aane se
Koi tera ghar nahi, yeh rasta hai
بہار آئی کہ دن ہولی کے آئے
گلوں میں رنگ کھیلا جا رہا ہے
Bahar aayi ke din Holi ke aaye
Gulon mein rang kheela ja raha hai
محبت کے ٹھکانے ڈھونڈھتی ہے
بدن کی لا مکانی موسموں میں
Mohabbat ke thikaane dhoondhti hai
Badan ki la makani mosamon mein
آج ہے وہ بہار کا موسم
پھول توڑوں تو ہاتھ جام آئے
Aaj hai woh bahar ka mosam
Phool todon to haath jaam aaye
اے خزاں بھاگ جا چمن سے شتاب
ورنہ فوج بہار آوے ہے
Ae khizan bhaag ja chaman se shataab
Warna fauj bahar aave hai
یاد آتے ہیں معجزے اپنے
اور اس کے بدن کا جادو بھی
Yaad aate hain mo’jize apne
Aur us ke badan ka jadoo bhi
ابھی روشن ہوا جاتا ہے رستہ
وہ دیکھو ایک عورت آ رہی ہے
Abhi roshan hua jata hai rasta
Woh dekho ek aurat aa rahi hai
اچھی خاصی رسوائی کا سبب ہوتی ہے
دوسری عورت پہلی جیسی کب ہوتی ہے
Achhi khaasi ruswaai ka sabab hoti hai
Doosri aurat pehli jaisi kab hoti hai
چار دن کی بہار ہے ساری
یہ تکبر ہے یار جانی ہیچ
Chaar din ki bahar hai saari
Yeh takabbur hai yaar jani heech
Urdu Shayari & Poetry Text for Every Mood
Urdu shayari has something for every mood, whether you’re feeling joyous, nostalgic, or melancholic. From cheerful verses to heart-touching sad poetry, the versatility of Urdu poetry makes it a perfect companion for life’s moments. This collection brings together poetry text that will uplift your spirit or soothe your heart.
—
Kab dhoop chali shaam dhali kis ko khabar hai
Ek umr se mein apne hi saaye mein khada hoon
—
Butkhanah tod daliyay masjid ko dhaiyay
Dil ko na todiye yeh Khuda ka maqam hai
—
Basti basti parbat parbat wahshat ki hai dhoop Zia
Chaaron janib veerani hai dil ka ek veerana kya
—
Kamray mein aa ke baith gayi dhoop mez par
Bachon ne khilkhlake mujhe bhi jaga diya
—
Mera wajood haqeeqat mera adam dhoka
Fana ki shakal mein sarchashma-e-baqa hoon mein
—
Mujhe ab aap ne chhoda ke maine
Idhar to dekhiye kis ne dagha ki
—
Gaon se guzre ga aur mitti ke ghar le jayega
Ek din darya sabhi deewar-o-dar le jayega
—
Har chand aitbaar mein dhoke bhi hain magar
Yeh to nahin kisi pe bharosa kiya na jaye
—
Khalid main baat baat pe kehta tha jisko jaan
Woh shakhs aakhirash mujhe bejaan kar gaya
Dil sarapa dard tha, woh ibtida-e-ishq thi
Inteha yeh hai ke Fani dard ab dil ho gaya
—
Dushman-e-jaan hi sahi, saath to ek umr ka hai
Dil se ab dard ki rukhsat nahi dekhi jati
—
Chaandni raaton mein chalata phira
Chaand si jisne woh soorat dekh li
—
Ehd ke baad liye boose dahan ke itnay
Ke lab zood pashemaan ko mukarne na diya
—
Boosan labaan se dene kaha keh ke phir gaya
Pyaala bhara sharab ka afsos gir gaya
—
Mujh ko yeh aarzu woh uthayen naqaab khud
Unko yeh intezaar taqaza kare koi
—
Kya woh khwahish ke jise dil bhi samajhta ho haqeer
Aarzu woh hai jo seena mein rahe naaz ke saath
—
Kisi se shikwa-e-mahroomi-e-niyaaz na kar
Yeh dekh le ke teri aarzu to khaam nahi
—
Kabhi mauj-e-khwaab mein kho gaya, kabhi thak ke rait pe so gaya
Yun hi umr saari guzar di faqat aarzu-e-wisaal mein
—
Kitaab-e-aarzu ke gumshuda kuch baab rakhe hain
Tere takiye ke neeche bhi hamare khwab rakhe hain
—
Kharab-e-dehr na main khud hua na tune kiya
Jo kuch kiya tere milne ki aarzu ne kiya
—
Jeene walon se kaho koi tamanna dhundein
Hum to aasooda-e-manzil hain hamara kya hai
—
Dete nahi sujhai jo duniya ke khat-o-khaal
Aaye hain teeragi mein magar roshni se hum
—
Ab to uske baare mein tum jo chaho woh keh daalo
Woh angdaai mere kamre tak to badi roohani thi
—
Poetry About Sadness in Urdu with Deep Meaning
Sadness often inspires the most beautiful poetry, and Urdu poets excel in expressing sorrow in its deepest forms. Poetry about sadness in Urdu reveals the pain of heartbreak, loneliness, and the struggles of life through poignant verses. These meaningful lines connect with the soul, offering solace and understanding.
Kuch Allahabad mein saamaan nahi behbood ke
Yaan dhara kya hai bajuz Akbar ke aur amrood ke
—
Phool keh dene se afsurdah koi hota hai
Sab adaayein teri acchi hain nazakat ke siwa
—
Khoobroo hain sekron lekin nahi tera jawab
Dilrubai mein ada mein naaz mein andaaz mein
—
Bole woh muskara ke bohot iltija ke baad
Jee to yeh chahta hai teri maan jaiye
—
Paamaal kar ke poochhte hain kis ada se woh
Is dil mein aag thi mere talwe jhulas gaye
—
Ab to zara sa gaon bhi beti na de usse
Lagta tha warna Cheen ka damaad Agra
—
Aashiqon ki khastagi badhaali ki parwa nahi Ae saraapa naaz tune be-niyazi khoob ki
—
Lagavat ki ada se unka kehna paan haazir hai
Qayamat hai sitam hai dil fida hai jaan haazir hai
—
Jaam le kar mujh se woh kehta hai apne munh ko phir
Roobaroo yun tere mai peene se sharmaate hain hum
—
Sar paaye kham pe chahiye hungam bekhudi
Ro soye qibla waqt manajat chahiye
—
Paas adaab-e-wafa tha ke shikasta paayi
Bekhudi mein bhi na hum had se guzrne paaye
—
Aayadat ko meri aa kar woh yeh tazkeed karte hain
Tujhe hum maar daalenge nahi to jald achha ho
—
Bahar aayadat aaye woh lekin qaza ke saath
Dam hi nikal gaya mera awaaz paa ke saath
—
Dekhne aaye the woh apni mohabbat ka asar
Kehne ko yeh hai ke aaye hain aayadat kar ke
—
Aaya na aik baar aayadat ko to Masiha
So baar main fareb se bimaar ho chuka
—
Apni zubaan se kuch na kahenge chup hi raheinge aashiq log
Tum se to itna ho sakta hai poochho haal bechaaron ka
—
Tandurusti se to behtar thi meri bimari
Woh kabhi pooch to lete the ke haal achha hai
—
Le meri khabar chashm mere yaar ki kyon kar
Bimaar aayadat kare bimaar ki kyon kar
—
Aate hain aayadat ko to karte hain naseehat
Ahbaab se gham khwaar hua bhi nahi jaata
—
Sab ne gurbat mein mujh ko chhod diya
Ek meri bekasi nahi jaati
—
Ek din poocha na Haatim ko kabhoo us ne ke dost
Kab se tu bimaar hai aur kya tujhe aazaar hai
—
Ishq mein be-taabiyaan hoti hain lekin ae Hasan
Jis qadar be-chain tum ho us qadar koi na ho
—
Royay baghair chaara na rone ki taab hai
Kya cheez af yeh kefiyat izterab hai
—
Abas dil bekasi pe apni apni har waqt rota hai
Na kar gham ae diwaane ishq mein aisa hi hota hai
—
Main bolta hoon to ilzaam hai bagawat ka
Main chup rahoon to badi bekasi si hoti hai
Poetry in Urdu on Life, Sadness, and Love
Urdu poetry is a mirror to life, exploring themes of sadness, love, and existence. Its eloquent verses delve into life’s highs and lows, offering profound insights into human emotions. This poetry collection captures the essence of love’s joys and heartaches, making it relatable and inspiring for all.
Aree bekasi tere qurbaan jaaon
Bure waqt mein aik tu reh gayi hai
—
Asraar agar samjhe duniya ki har ek shay ke
Khud apni haqeeqat se yeh bekhabi kyun hai
—
Zameen royi humare haal par aur aasman roya
Humari bekasi ko dekh kar saara jahan roya
—
Toot padti thi ghataain jin ki aankhein dekh kar
Woh bhari barsaat mein tarsay hain paani ke liye
—
Kisi pehlu nahi chain aata hai ishqaa ko tere
Tadapte hain faghan karte hain aur karwat badalte hain
—
Kachay makaan jitnay thay barish mein beh gaye
Warna jo mera dukh tha woh dukh umar bhar ka tha
—
Door tak phela hua paani hi paani har taraf
Ab ke baadal ne bohat ki meherbani har taraf
—
Kachi deewaron ko paani ki lehr kaat gayi
Pehli barsaat hi ne barsaat ki dhaaya hai mujhe
—
Gulon ka door hai bulbul mazaay bahaar mein loot
Khazan machay gi aate hi is diyaar mein loot
—
Dar o deewaar pe shaklein si banane aayi
Phir yeh barsaat meri tanhaai churaane aayi
—
Bahaaar chaak gerebaan mein theher jaati hai
Junoon ki mauj koi aasteen mein hoti hai
—
Gayee bahaaar magar apni bekhudi hai wohi
Samajh raha hoon ke ab tak bahaaar baaqi hai
—
Kahiye saba salaam hamara bahaar se
Hum to chaman ko chhod ke soye qafas chale
—
Bahaaaron ki nazar mein phool aur kaante barabar hain
Mohabbat kya karein ge dost dushman dekhne walay
—
Afsoordagi bhi husn hai, taabindagi bhi husn
Hum ko khazan ne, tum ko sanaara bahaaar ne
—
Guroor se jo zameen par qadam nahi rakhte
Yeh kis gali se naseem bahar aati hai
—
Baal o par bhi gaye bahar ke saath
Ab tawakul nahi rehayi ki
—
Chaman mein rehne walon se to hum sahra nasheen achay
Bahar aa ke chali jaati hai veerani nahi jaati
—
Saaz ulfat chhid raha hai aansuon ke saaz par
Muskuraye hum to unko bad gumani ho gayi
—
Ajab bahar dikhayi lahoo ke cheentoon ne
Khizan ka rang bhi rang bahar jaisa tha
—
Bahar aate hi takraane lagay kyon saagar o meena
Bata ae peer mai khana yeh mai khano pe kya guzri
—
Bad gumani ko badha kar tum ne yeh kiya kar diya
Khud bhi tanha ho gaye mujh ko bhi tanha kar diya
—
Woh apne husn ki khairat dene wale hain
Tamaam jism ko kaasa bana ke chalna hai
—
Yeh bekinar badan kaun paar kar paaya
Bahe chale gaye sab log is rawani mein
—
Aamad aamad hai khizan ki jaane waali hai bahar
Rote hain gul zar ke dar baagban khole hue
—
Ek ghalat fahmi ne dil ka aayna dhandla diya
Ek ghalat fahmi se barson ki shanasaai gayi
—
Aayenge waqt khizan chhod de aayi hai bahar
Le le saayaad qasam rakh de gulistan sar par
—
Lagte hi haath ke jo kheenchay hai rooh tan se
Kya jaane kya woh shay hai us ke badan ke andar
—
Raasta de ke Mohabbat mein badan shaamil hai*
Main faqat rooh nahi hoon mujhe halka na samajh
—
Yoon hai dalkan badan ki is perhan ki teh mein Surkhi badan ki jaise chhalke badan ki teh mein
—
Nikal ke khalad se unko mili khilafat arz
Nikaale jaane ki tehmat humare sar aayi
—
Khud pe yeh zulm gawara nahi hoga hum se
Hum to sholon se na guzrenge na Sita samajhain
—
Kaun badan se aage dekhe aurat ko
Sab ki aankhein griwi hain is nagri mein
—
Khuda ke waaste gul ko na mere haath se lo
Mujhe boo aati hai is mein kisi badan ki si
—
Magar giraft mein aata nahi badan uska
Khayaal dhoondhta hai rehta hai is-taara koi
—
Ek saheefa naya utrah hai suna hai logo
Maarna dost ka bhi jis mein rawaa hai logo
—
Hai kaamyabi-e-mardan mein haath aurat ka
Magar tu ek hi aurat pe inhisaar na kar
—
Bataoon kya tujhe ae humnashien kis se mohabbat hai*
Main jis duniya mein rehta hoon woh is duniya ki aurat hai
—
Tum phir usi ada se angdaai le ke hans do
Aa jaayega palat kar guzra hua zamaana
—
Bint-e-Hawa hoon main yeh mera jurm hai
Aur phir shaayari to kada jurm hai
—
Anjaam ko pohonchunga main anjaam se pehle
Khud meri kahani bhi sunayega koi aur
—
Conclusion:-
Urdu poetry is a beautiful expression of emotions that continues to inspire and connect people across the globe. From the timeless verses of famous poets to heartfelt shayari on sadness, love, and life, it offers something for everyone. If you enjoyed this collection of best Urdu poetry, explore more on our website’s like love poetry, sad poetry, Allama Iqbal poetry, Islamic poetry,and Urdu Quotes. Also check this post for more Urdu poetry .