Sad poetry in Urdu has always been a beautiful form of expressing deep emotions and sorrow. Sad shayari captures feelings of heartbreak, loneliness, and longing in words that resonate with countless hearts. These verses connect people by conveying universal feelings.
This collection of best sad shayari in Urdu includes classic two-line verses and modern poetry perfect for sharing on social media. Whether you’re looking for sad poetry to use as a WhatsApp status or simply want to reflect on your own emotions, these carefully selected lines offer solace and understanding.
Kya ghazab hai us ki khamoshi
Mujh se baatein hazaar karti hai
Aaj shayari nahin bas itna sun lo
Main tanha hoon… aur wajah tum ho
Kitaab-e-dil mein tera baab jab khatam kiya
Khatam karte karte bewafa kitaab bhi ro pari
Jab tere dard mein dil dukhta hai
Hum tere haq mein dua karte hain
Faryaad kar rahi hai tarsee hui nigah
Dekhe hue kisi ko bohat din guzargaye
Nipat raha hoon zindagi se abhi
Maut kya hai meri bala jaane
Mere aangan ki udaasi na gayi
Roz mehman bulaaye main ne
Bin tere saans tak nahin aati
Pyaar had se tajawuz kar gaya hai!
Filhal dushmanon ki zaroorat hai mujhe
Kaafi hain doston ke khusoosi karam abhi
Jab ta’alluq hi be-yaqeen thehre
Kaise dil ka koi makeen thehre
Hum saadiqi mein jhuk kya gaye
Tum ne gira hua hi samajh liya
Kitna ajeeb hai un ka andaaz-e-mohabbat
Roz rula ke kehte hain apna khayal rakhna
Tum kya jano pyaar mera
Agar tum jaan lete to jaan dete
Dekhta hoon tasveer-e-yaar to aata hai khayal
Har baat lajawab thi, agar bewafa na hota
2 Lines Sad Poetry in Urdu
Urdu poetry has a special charm when expressed in just two lines, making it concise yet deeply impactful. 2 Lines Sad Poetry in Urdu captures profound emotions like heartbreak and loss in the simplest form, resonating deeply with readers. These short verses are ideal for those who want to convey their feelings in a subtle.
Teri majbooriyan durust hain lekin
Tera waada tha mujhe hamesha yaad rakhne ka
Gharaz parast! Jahān mein wafa talāsh na kar
Yeh shai bani thi kisi doosre jahān ke liye
Phool maango to zakhm dete hain
Ab yehi rasm doston thehri
Teri ghaflaton ko khabar kahan
Meri udaasiyan hain urooj par hain
Kaash! Ab ke bhi mulaqat ho na paaye
Tujh se jo aankh milaata hai woh mar jaata hai
تم کسی اور کے ہو جا ؤ جاناں!
ہمیں امیر ہونے میں وقت لگے گا
Tum kisi aur ke ho jao jaana!
Humein ameer hone mein waqt lagega
خاموش فضاؤں میں روتی ہوئی آہیں ہوں میں
میں اپنی عدالت میں اپنی ہی گواہی ہوں میں
Khamosh fizaon mein roti hui aahen hoon main
Main apni adaalat mein apni hi gawahi hoon main
ہم کو آتا ہی نہیں زخمو ں کی نمائش کرنا
خود ہی روتے ہیں، تڑپتے ہیں اور سو جاتے ہیں
Hum ko aata hi nahi zakhmon ki nishanish karna
Khud hi rote hain, tadapte hain aur so jate hain
یا د رکھو تو دل کے پاس ہیں ہم
بھو ل جا ؤ تو فا صلے ہیں بہت
Yaad rakho to dil ke paas hain hum
Bhul jao to fāsle hain bohat
میر ی آ نکھوں میں نیند بن کے رہ جا ؤ اب تو
تمہا رے انتظار میں کتنی را توں سے بیو فائی کی ہے
Meri aankhon mein neend ban ke reh jao ab to
Tumhare intezar mein kitni raaton se bewafai ki hai
میری دیوانگی کا کیا ہو گا
تم تو عادی ہو بھول جانے کے
Meri deewangi ka kya ho ga?
Tum to aadi ho bhool jaane ke
دل میں رہ کر دل دکھاتے ہو
اپنا مقام دیکھو اور اپنا کام دیکھو
Dil mein reh kar dil dukhaate ho
Apna maqam dekho aur apna kaam dekho
کسی بے تاب آرزو کی طرح
آپ دھڑکتے ہیں میرے سینے میں۔
Kisi be taab aarizo ki tarah
Aap dhadakte hain mere seene mein
دل سے نکالو تو مان جا ؤں
نظر انداز کرنا کوئی کمال تو نہیں
Dil se nikaalo to maan jaaoon
Nazar andaaz karna koi kamaal to nahi
صرف اتنا سا ہی تعلق ہے میرا ان سے
کہ وہ پریشان ہو تو مجھے نیند نہیں آتی
Sirf itna sa hi talluq hai mera un se
Ke woh pareshan ho to mujhe neend nahi aati
Emotional Sad Shayari Images
Emotional Sad Shayari Images combine the beauty of Urdu poetry with visually stunning designs, making them perfect for sharing on platforms like Instagram and Facebook. These images enhance the emotional impact of the poetry, adding a layer of visual appeal to the heartfelt words.
جی بھر کے چاہا تم نے
جی ہی بھر گیا تمہارا
Ji bhar ke chaha tum ne
Ji hi bhar gaya tumhara
صرف ایک ترکِ تعلق کے لئے
تم نے ڈھونڈے ہیں بہانے کیا کیا
Sirf ek tark-e-talluq ke liye
Tum ne dhoonde hain bahane kya kya
Jis kadar jis ki qadr ki
Us kadar be-qadr hue hum
Dil jo be-naqab hote
To socho kitne fasaad hote
Na apne paas hoon na tere paas hoon
Main kai dino se yun hi udaas hoon
Main ne tere jane ke baad bhi
Teri khushboo se guftagu ki hai
Kitna roya tha main teri khatir
Ab jo sochun to, hansi aati hai
میرا دل جلتا ہے تو جلنے دو
شاید اسی کی آگ ٹھنڈ ہو جائے میرے جلنے سے
Mera dil jalta hai to jalne do
Shaayad iski aag thand ho jaaye mere jalne
se
تو ہوش میں تھی پھر بھی ہمیں نہ پہچان پائی
ایک ہم ہیں کہ پی کر بھی تیرا نام لیتے رہے
Tu hosh mein thi phir bhi humein na pehchaan paayi
Ek hum hain ke pe kar bhi tera naam lete rahe
Poochte kya ho haalat meri
Kha gaye mujh ko rawaiye tere
میں ایک درد ہوں صاحب
اور درد بھلا کون سہتا ہے
Main ek dard hoon sahib
Aur dard bhala kon sahta hai
بن تمہارے کبھی نہیں آئی
کیا میری نیند بھی تمہاری ہے
Bin tumhare kabhi nahi aayi
Kya meri neend bhi tumhari hai
اک دن محسوس ہو گا تمہیں
میرا ہونا کیا تھا . . . اور نہ ہونا کیا ہے۔
Ik din mahsus ho ga tumhein
Mera hona kya tha . . . aur na hona kya hai
تیرے آنے سے آئی تھی پل بھر خوشی
پھر نہ آئی کبھی تیرے جانے کے بعد۔
Tere aane se aayi thi pal bhar khushi
Phir na aayi kabhi tere jaane ke baad
Shaam se aankh mein nami si hai…
Aaj phir aap ki kami si hai
Sad Poetry SMS for WhatsApp
Sharing emotions has become easier with Sad Poetry SMS for WhatsApp, which brings the beauty of Urdu poetry to your fingertips. These verses are perfect for sharing your feelings with friends or expressing yourself on WhatsApp statuses.
Ab jo rootho ge, haar jao ge
Hum manane ke gur, bhula baithe 💔😔
—
Mohabbat haath mein pehni hui choori ki manind hai
Sanwarti hai, khankti hai, khanak kar toot jati hai 💫💔
—
Bare zor-o-shor se chal raha hai kaarobar-e-mohabbat
Kahin chahatein bik rahi hain, kahin log badal rahe hain 💔💸
—
Milta bhi nahin tumhare jaisa koi aur is sheher mein
Humein kya maloom tha? Tum aik ho woh bhi kisi aur ke 😢💔
—
Kuch sitare teri palkon pe bhi roshan honge
Kuch rulaaye ga mujhe bhi tera gham eid ke din 🌙😢
—
Chal dost, kisi anjaan basti mein chalein
Is nagar mein to sabhi hum se khafa rehte hain 💔🌆
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Ab bhi aa jata hai mere khayalon mein woh
Aaj bhi lagti hai haazri, us ghair-hazir ki 😔💭
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Apne hi haal pe hansna kabhi hans ke rona
Main ba-yak waqt tamasha bhi, tamashai bhi 🤡💔
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Tars jao ge hamare munh se sunne ko aik aik lafz
Pyaar ki baat to kya, hum shikayat bhi na karein ge 💔💬
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Us ka mayar abhi mujh se juda hai lekin
Woh bhi bikhre ga to ho jaye ga mere jaisa 😔💔
—
Woh mehrban hai to kyun iqraar nahi karta
Woh badguman hai to so baar azmaaye mujhe 💔🤔
—
Kahin sehri nahin hoti kahin iftar nahin hota
Sun lo koi shauq se gunahgar nahin hota 🕋😔
—
Kuch zindagi ne diye mujhe har qadam pe gham
Kuch aap meri hasraton se khelte rahe 💔😢
—
Abhi to chand lafzon mein simta hai tujhe main ne
Abhi meri kitaabon mein teri tafseer baqi hai 📖💭
—
Nahin mumkin main raah-e-shauq se wapas palat jaun
Parinday to nahi lote kabhi ghar shaam se pehle 🕊️🌆
—
Us ke lehje ke badalne ki kahani ko samajh kar
Ab bhi ae dil! use chaho to tumhari marzi 💔😌
—
Faaslay to badha rahe ho magar itna yaad rakhna
Mohabbat baar baar insaan par meherban nahi hoti 💔💫
—
Mohabbat mein dil ka tootna tum kabhi nahin jaan pao ge
Agar hoti logon mein wafa to aaj hum udaas na hote 💔😢
—
Rooh tak neelam ho jaati hai bazaar-e-ishq mein
Itna aasan nahin hota kisi ko apna bana lena 💔💔
—
Jab bhi roye to aansu chhupa kar roye
Hum ne seekha hi nahin gham ki numaish karna 😢🤐
—
Kahin wafa hi nahin thi har ek sawali tha
Mere mizaaj ke logon se sheher khaali tha 💔🌆
—
Ashk seene mein utar jaayein to koi gham nahin
Dil jab aankhon mein dhadakta hai to dar lagta hai 💧💔
—
Chaand nikla to main logon se lipat lipat kar roya
Gham ke aansu the jo khushiyon ke bahaane nikle 🌙😢
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Koi bhi mere paas nahin tha dilaasay ke liye
Main apni hi baanhon mein sar rakh kar khoob roya 😢🤲
—
Shauq se badal jao tum, par yeh zehan mein rakhna
Hum jo badlay to karwatein badalte reh jao ge 💔💫
—
Haan tha ik farz sa shakhs
Woh bhi mujh se qaza ho gaya 💔🙏
—
Zikr bewafaaon ka tha raat sar-e-mahfil
Jhuka mera bhi sar jab naam uska aaya 💔😔
—
Hum se zindagi ki haqeeqat na poocho Wasi
Bohat purkhaloos log the jo tanha kar gaye 💔😢
—
Aaj main ne talaash kiya usko apne aap mein
Woh mujhe har jagah mila ik taqdeer ke siwa 💭💔
—
Un ka kehna hai ke phir mar kar dikhaya jaye
Abhi kuch log tamashay mein naye aaye hain 💔🎭
—
Usay bata dena kisi ki zindagi tum the
Usay yeh bhi bata dena ba-akhir mar gaya koi 💔😢
—
Bhar aayen na aankhein to ek baat kahoon?
Ab tum se bichhar ne ka imkaan bohot hai 💧💔
—
Karta nahin hai tum se shikayat yeh dil magar
Kehna yeh chahta hai ke tum ab woh nahin rahe 💔😔
—
Bana kar chhod dete hain apni zaat ka aadi
Kuch log yun bhi inteqaam lete hain 💔😌
—
Itni pila Saqi ke doob jaye maikhana
Behti phire sharab mein kashti faqeer ki 🍷🚢
—
Ghalti un ki nahin, qasoor meri gareebi ka tha
Hum apni auqat bhool kar bade logon se dil laga baithe 💔😔
—
Ae waqt ke Luqman hai koi mera ilaaj
Mujh ko mere khalos ne kai baar das liya 💔🐍
—
Pachtāo ge bohat hum se bichhar kar mān jāo
Yeh chāhat ke sajde hain qazā soch kar karna 💔🙏
—
Duniya ke tamām khel tark karke
Ek dosray ke dilon se kheltay hain “insān” 🫀💔
—
Kitna mushkil hota hai us shakhs ko manāna
Jo nārāz bhi na ho aur baat bhi na kare 💔🤐
—
Andesha bhi bohat tha aur ihtiyāt bhi bohat ki
Hote hote woh shakhs ākhir judā ho hi gaya 💔😔
—
Gham na kar woh tumhe bhool nahi sakta aye dil
Jab bhi tanhāi mein hoga tujhe yād zaroor karega 💭💔
—
Jeena to parega faqat duniya ko dikhāne ke liye
Warna hum ne kab chāhi thi is ke bina zindagi 🌍💔
—
Kitni aziyat hai is pyar mein
Ke mujhe tum se mile bina hi mar jaana hai 💔😢
—
Har baat jaante huye bhi dil maanta na tha
Hum na jaane aitbaar ke kis marhale mein the 💔🤔
—
Yeh dukh nahi ke mujh se nigahein badal gaye
Gham yeh hai ke woh jeena seekh gaye mere baghair 💔😔
—
Raat bhar raat ko ik baar jagaya jaye
Usko maloom to ho hum par guzarti kya hai 💔😢
—
Yaad rakhna meri fitrat hai
Adatein tum hi badal lete ho 💭✨
—
Toot kar chaahne wale aksar
Toot kar hi reh jaate hain 💔😢
—
Meri tehreer mein lipte huye lafz na khol
Lafz jee uthe to tum khauf se mar jaoge ✍️😨
—
Raat baqi thi jab woh bichhra tha
Umar guzri hai raat baqi hai 🌙💔
—
Doobi hain meri hi ungliyan mere hi lahu mein
Yeh kaanch ke tukron pe bharose ki saza hai 💔🩸
—
Aaj usay fikar hai ke log kya kahenge Mohsin
Kal jo kehta tha mujhe rasme riwayat se kya 🤔💭
—
Wafa ki talāsh to bewafāon ko hoti hai Faraz
Hum ne to duniya hi chhod di kisi bewafā ke liye 💔🌍
—
Dilāse dete huye log kya samajh paate
Hum ek shakhs nahi kāinat haare the 💔🌌
—
Maine heere ki tarah bohat tarasha us ko
Magar woh apni fitrat mein pathar tha… pathar hi raha 💎🪨
Unique Sad Shero Shayari
For those seeking something special, Unique Sad Shero Shayari offers verses that stand out with their creativity and depth. This collection features original poetry that goes beyond traditional themes, exploring unique perspectives on heartbreak and sorrow.
Duur rehne se mohabbat barhti hai Faraz
Yeh keh kar woh shakhs sheher chhod gaya
—
Tadapta hoon neend ke liye to bas yahi dua nikalti hai
Bohat buri cheez hai yeh mohabbat kisi dushman ko bhi na lage 😞
—
Kuch rishton ke khatam hone ki wajah yeh hoti hai
Ek bol nahi pata, doosra samajh nahi pata 💔
—
Tujhe qismat samajh kar seenay se lagaaya tha
Bhoole gaya ke qismat badalte der nahi lagti 💔
—
Jin ke jaane se jaan jaati thi
Hum ne unko bhi jaate dekha hai 😢
—
Woh kehta tha tujh se bichhad kar veeraan ho jaaunga main
Aaj puray sheher mein sab se roshan ghar uska hai 🔥
—
Majbooriyon ke naam pe daaman bacha gaye woh log
Jis ne pyaar mein daawa wafa ka kiya tha 😓
—
Dil ki baat kehta hoon bura to nahi maano ge janaan
Bari rahat ke din thay teri pehchaan se pehle 🌹
—
Jab bhi tanhaai ka ehsaas had se barh jaata hai
To main saaye ko hi apne pehlu mein baitha leta hoon 🌑
—
Agar woh zindagi mein faqat ek baar mera ho jaata
To main zamane ki kitaabon se lafz bewafai mita deta 📚
—
Har baar mili hai mujhe anjaani si sazaa sahib
Main kaise poochhoon taqdeer se mera qusoor kya hai 😔
—
Na karo takraar mujhe tumhara hi khyaal hai
Phir baat se baat barhegi aur tum rooth jaoge 😟
—
Ya kuch is ada se ke palkain bheego gaya
Jhonka tere khayaal ka kitna shadeed tha 🌬️
—
Woh bewafa hamari thi kab, jo har roz kehti thi
Hum bas sirf aur sirf tumhare hain 😢
—
Kya kahoon ab ishq ke dard chhupane ko
Tum jaante ho na mujhe koi bahaana nahi aata 💔
—
Ab tere naam par bikte nahi hain hum
Ab koi bhi humein ruswa nahi karta 😌
—
Kuch log tohfe bhi kamaal ke dete hain
Udaasiyan, tanhaiyaan, aziyatein aur intezaar 🥀
—
Ab hum nahi rakhte kisi se shauq-e-ulfat
Be rahm se log hain dil tod jaate hain 💔
—
Bharosa ek shakhs todta hai
Aur aitbaar har shakhs se uth jaata hai 🧑🤝🧑💔
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Yeh jo har mod pe a milti
Hai mujh se
Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahi 😔🚶♂️
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Mujhe kisi ko manana ka fun nahi aata
Main apne aap se lad kar udaas baitha hoon 🤷♂️💭
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Aks-e-rahnai na dekh aks-e-tanhaai ko dekh
Dil mein ik dard hai is dard ki gehraai ko dekh 💔🔍
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Mumkin hai use mayassar hon wafaen
Hum sa bhala is pe kon marta hoga 💔🕊️
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Jis ne saath nibhaane ki qasmein khain thi
Aaj na jaane kyun mujh se paraya hua hai woh 😞💔
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Wajah poocho ge to umar beet jaayegi
Kaha na zeher lagte ho to bas lagte ho. ⏳💀
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Hum to mojood hain andheron mein ujalo ki tarah
Tum ne dh
oonda hi nahi dhoondhne walon ki tarah. 🌑🔦
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Achha hi hua ke tum ne mujhe tod diya
Bohat ghuroor tha humein, tere honay ka. 💔🙇♂️
Heart Touching Sad Shayari
Heart Touching Sad Shayari speaks to the soul, offering a voice to emotions that are often hard to express. These verses delve into themes of love, longing, and heartbreak, touching hearts with their raw authenticity.
Ab woh har jayi kisi aur se kehta hoga
Tum meri jaan ho bhala tum ko bhula sakta hoon 🥀💔
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Kya waqt nikaala hai ranjish ka bhi zaalim ne
Jab khoob sanwarta hai tab mujh se bigadta hai ⏳😠
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Dil-e-tabaah tere gham ko taalne ke liye
Suna raha hai fasane idhar udhar ke 💔🎭
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Tamaam din mere seene mein jang karta hai
Woh shakhs jis ke muqaddar mein khudkushi bhi nahi 💔⚔️
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Rehne de yeh kitaab tere kaam ki nahi
Is mein likhe hue hain wafaon ke tazkare 📖💔
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Ek shakhs paband kar gaya mujhe lamhon ki qaid mein
Aankhon mein apni yaad ke pehre baitha gaya ⏳💭
—
Gham bhi diye to yun ke na wapas liye kabhi
Un ke humari zaat pe ehsaan hi rahe. 💔🙏
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Ek woh zaalim jo dil mein reh kar bhi mera na ban saka
Aur dil woh kafir jo mujh mein reh kar bhi us ka ho gaya 😢💔
—
Woh chala gaya mujhe chhod kar main badal na paaya aadatein
Use sochna use chaahna mera aaj bhi mamool hai 😔💭
—
Hairat to yeh hai ke tu bhi kamsin to nahi hai
Phir kyun main tere haathon mein khilonon ki tarah hoon 😕🤲
—
Mujhe kisi ko manana ka fun nahi aata
Apne aap se lad kar udaas baitha hoon 😔🤷♂️
—
Guzar ke saara bachpan_____khushiyon mein
Ab bhari jawani mein hum udaas rehte hain 🧒😔
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Ghalat fahmi thi ke apne bahut hain
Mud kar dekha to saaya hum safar nikla 😢👥
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Mat poochho ke kaise hain hum
Sada yaad raheinge kuch aise hain hum🥀😔
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Jin logon ke kehne pe tum ne mujhe chhod diya tha
Aaj wohi bata rahe hain ke tum aksar udaas rehte ho 😞💔
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Be dilli se hi sahi magar kabhi kabhi to
Woh jo haal poochhte hain ehsaaan karte hain 💔🙏
—
Main bad naseeb hoon mujh ko na de khushi itni
Ke main khushi ko bhi le kar kharab kar doon ga 😔💔
—
Jate jate
duniya se udaas kar gaya meri zindagi ko yaaro
Ek shakhs meri zindagi mein bohat khaas tha yaaro 😞❤️
Conclusion:-
Sad poetry in Urdu continues to be a timeless expression of deep emotions like love, heartbreak, and sorrow. Whether you seek solace in two-line verses, emotional shayari, or artistic images, this form of poetry offers a unique way to connect with your feelings. Let these words inspire you, and if you’re looking for more romantic expressions, explore our Love Poetry collection for heartfelt verses that complement these sad lines.You can also read more Urdu poetry on Urdupoint.